'Ayatullah Sistani: Non Muslim se Veg Food ke Ahkam | Eating from Non Muslims | Restaurant mein khana'

'Ayatullah Sistani: Non Muslim se Veg Food ke Ahkam | Eating from Non Muslims | Restaurant mein khana'
04:53 Sep 11, 2023
'#SabeelMedia #Sistani #Islam   https://www.sistani.org/persian/book/53/232/  Wo Musalman jo non islamis country mein rahte hain aur wo kisi Restaurant ya Hotel   wagera mein Diner ya lunch ke liye jana chahte hai to un ke samne ek badi mushkil aati hai ke ye Halal hai Haraam ? Paak hai ya Najis ? Is mushkil ke rahe Hal ko janne ke liye Ayatollah Sistani H.f  ke Fatwe ko janne ki koshish karte hain  Q:Kya Ham Ahle kitab ke hath se bana hua khana kha sakte hain? Ans: Ayatollah Sistani H.f ke Jadeed Fiqhi masael ke masla no 154 ke mutabiq Ahle kitab ke hath ke bane hue kahne ko kha sakte hai chahe unho ne khana gile hatho se hi banaya ho han lekin ye Hukm us waqt tak hai jab tak ham ye na jante ho ke un ke khane mein aisi cheez mili hai jas ka  khana Haram hai jaise sharab wagera  Q:kya ham aise Non Muslim se jo Ahle Kitab nahi hain un ke Hath ka  bana hua khana kha sakte hai?  POINT Is Sawal ke Jwab Shuru karne se pahle ham ek point ko clarified kana chahte hain Islam mein Khane ke Ahkam bayan kye gaye hain jo is Video mein bayan hon ge lekin is ka matlab bilkul ye nahi hai ke Musalman ghair e Musalman ko apna Dost nahi bana sakta ye neki nahi kar sakta     Ayatollah Sistani H.f is silsile mein farmate hain: Musalman gair musalman ko apna sathi or dost bana sakta hai  Is tariqa se ke  dono ek dosre ke liye sachche or saaf dil hon or zindigi ki zaroraton ko pura karne mein ek dosre ki madad kren aur musalman gair musalmano ke liye neki aur khair khai kar sakta hai  Masala no 155: wo khana jise non muslim ghair ahle kitab ne taiyar kiya hai aap use bhi kha sakte hai do shart ke sath  1. Gair muslman ke geele hath lagne ka Ilm na ho 2. Us khane mein koi Haram cheez jaise sharab  na mili ho   Masla no 156 ke mutabiq: Wo khana Jis ke banana wale ke Deen aur Eeman ka pata na ho aur ye bhi maloom na ho ki us ne ye khana kis cheez se banaya hai to aisa khana kha sakte hai   Bas ek shart ko dheyan mein rakhna hoga :  Aap ko  ye namalom na ho ke us khane mein koi aisi cheez mili hui hai jis ka khana Haram hai jaise sharab wagaira. Agar maloom hai to phir nahi kha sakte  Research karna Zaruri nahi  Masla 156 : Aisi jagah jaha khana banana wale ky deen aur emman ka pata na ho to uske deen aur eeman ka pata lagana Zaroori nahi hai chahe tahqiq bilkul aasan hi ho   Q: Kya ham Packed Food kha sakte hain?  Ans: Mukhtalif qism ke canned aur pack khane gosht ke alawa khaye jaskate haiAns: Chahe insan ko ye shak hi qyu na ho ke kahe is mein Haram cheez to nahi mili  Ya kahi is us ke banana wale ka hath geela to nahi tha   canned aur pack khane mein bhi tahqiq aur research ki zarurat nahi hai   

Tags: 2020 , India , Islam , Shia , khamenei , karbala ka waqia , sabeelmedia , sabeelmedia.in , sabeel media , khamenei_ir , کربلا , ayatullah behjat , ayatullah sistani , waqia

See also:

comments

Characters